tanha dil

tanha dil

Friday, October 19, 2012

yaad...........

Yaad mein teri ankhe bharta hai koi….
Har saans ke saath tujhe yaad karta hai koi….
Maut to aisi cheez hai jisko aana hi hai….
Lakin teri judai mein har roz marta hai koi..!!

Thursday, August 25, 2011

Safar

Kaun Is Raah Se Guzartaa Hai
Dil Yuun Hii Intizaar Kartaa Hai
Dekh Kar Bhii Na Dekhne Vaale
Dil Tujhe Dekh Dekh Dartaa Hai
Shah’r-E-Gul Men Gayii Hai Saarii Raat
Dekhiye Din Kahaan Guzartaa Hai
Dhyaan Kii Siirhiyon Pe Picchle Pahar
Ko’ii Chupke Se Paanv Dhartaa Hai
Dil To Meraa Udaas Hai
Shah’r Kyuun Saaen Saaen Kartaa Hai

Monday, August 22, 2011

maut....

Maut Tu Itani Khudgarj Kynu hai???

maa ka
Aanchal bheega kyun hai
baap ke kandhe tute kynu hai
masoom se ye bachche roothe kynu hai
ye to bata inke hasne main harz kynu hai
Maut tu itni khudgarz kyun hai

Dulhan ki hatheli par
Mehndi ka rang hai
Sajan sang abhi kheli holi nahi
fir ye masoom chehra
kaisa badrang hai
in bheege ankho main
mamta ke sapne ka farz kynu hai
Maut tu itni khudgarz kyun hai

Ek kahar dhaah jati ho
Jis ghar main bhi aajati ho
Na umr ki parwah hai tujko
Naa rishton se lajati ho
tumko kya maloom
ye Akhri safar kya sitam dhahata hai
kitna dil dhukhata hai

tu jiski dawa hai wo marz kynu hai
maut tu itani khudgarj kynu hai ,

Aansoo ki baunchaar mein
Man gila ho jata hai
Dil mein dekha sapna
adhoora rah jata hai
Achanak jab koi tera
hamsafar ban jata hai
jane wale tera hath pakad kar chale jate hai
ham unke liye rote hai pachtate hai
shayad tere pyaar main bahut dam hai
jo wo sab ka pyaar thukra kar
tujhmain sama jate hai

soch main padh jata hoon
logon ka dard dekhoon
ya teri sachchai
ya chup rahoo
man main baar-baar sochata hoon
tujhe khudgarj kahoo
ya na kahoo??